
Chand ya sitara koi
Gire toh utha lena
O suniyo re
Tara chamkila hoga
Chand Sharmila hoga
Nath mein laga lena

Subah ke khawab se udai hai
Palkon ke neeche chhupai hai
Mano na mano tum
Sothe sothe khawabon mein bhi khawab dikhati hai
Mano na mano tum
Pari hai woh pari ki kahaniyan sunati hai
Tu hawa main zameen
Tu jahan main wahin
Jab ude mujhe leke kyon udti nahi
Tu ghata main zameen
Tu kahin main kahin
Kyon kabhi mujhe leke barasti nahi
Zara sa saawara hai woh
Zara sa baawara hai woh
Woh surme ki tarah meri
Aankhon mein hi rehta hai
Jab daanth mein ungli dabaye
Ya ungli pe lat liptaye
Badal yeh nichadta jaye
Kuch kar ke woh baat ko taale
Jab maathe pe woh bal dale
Amber yeh sukadhta jaye
Woh jab nakhoon kutarti hai
To chanda ghatne lagta hai
Woh pani par kadam rakkhe
Sagar bhi hat jata hai
Subah ke khawab se udai hai
Palkon ke neeche chhupai hai
Mano na mano tum
Sothe sothe khawabon mein bhi khawab dikhati hai
Mano na mano tum
Pari hai woh pari ki kahaniyan sunati hai
-Lyrics of 'Khudaya Khair' from the film Billu.


0 comments:
Post a Comment